Best Friendship Quotes in Urdu - Quotes about Dosti - Friendship quotes in urdu - dosti quotes in urdu

Best Friendship Quotes in Urdu - Quotes about Dosti - Friendship quotes in urdu - dosti quotes in urdu

Best Friendship Quotes in Urdu - Quotes about Dosti - Friendship quotes in urdu - dosti quotes in urdu


50 Best Friendship Quotes in Urdu - Quotes about Dosti


Agar aap urdu mein dosti ke Quotes talaash kar rahay hain to aap sahih jagah par hain. yeh dosti ke Quotes ki taaza fehrist hai jo is khobsorat rishte ke haqeeqi maienay ko bayan karti hai. yeh gehri aur hosla afzaa dosti urdu Quotes parheen aur –apne doston ke sath share karen . 


List of Friendship Quotes in Urdu


Best Friendship Quotes in Urdu - Quotes about Dosti - Friendship quotes in urdu - dosti quotes in urdu
Friendship Quotes in urdu




Allah ki behtareen naimat mukhlis
dost hai

      *-------------°°°-------------*
            

Suchi mohabbat ek qabil-e-qadar shay
hai lekin suchi dosti is se bhi nayab
hai.
      
                           *-------------°°°-------------*

Dost ka aeb dost par zahir karna haq e
dosti hai magar uski tash'heer ek
kameenapan hai.

*-------------°°°-------------*


Main wehshiyon ki tarah junglon aur
paharon main phira magar main ne
bure sathi se koi wehshat naak nahi
dekha.

*-------------°°°-------------*


Tera dushman, tere doston se paida
hota hai. Lehaza doston ki taadad na
brhao.

*-------------°°°-------------*


Do dushmano k darmyan is tarah baat
karo k agar wo kabhi dost bhi ban
jayen tou tumhain sharmsaar na hona
pare.

*-------------°°°-------------*


Jis ne kabhi dost nahi banaya wo kabhi
dost nahi ban skta.

*-------------°°°-------------*


Dosti k bandhan ko mazboot banana
hai tou doston se milte rahiye aur agr
bohat hi mazboot banana ha tou kabhi
kabhar mileye.

*-------------°°°-------------*


Dost ka ghusa, bewkoof ki mohabat se
behtar hai.

*-------------°°°-------------*


Dost ka imtehan museebat k waqt
main hota hai.

*-------------°°°-------------*


Tere sab se bare dushman tere bure
hamnasheen hain.

*-------------°°°-------------*


Naraz hone k khyal se haq baat dost ko
na batana haqe dosti nahi.

*-------------°°°-------------*


Dunia main agar koi dozakh hai tou
wo nadan ki dosti hai.

*-------------°°°-------------*


Mere pehla dost hi mera pehla
dushman hai.

*-------------°°°-------------*


Insan k naik rehne k liye zaroori hai ke
isk dost bhi naik hoon warna naiki
nibh nahi sakti.

*-------------°°°-------------*


Jo apno k sath wafa nahi karta.
Aqalmando k nazdeek dosti k qabil
nahi.

*-------------°°°-------------*


Jiska ghusa zada hai usk dost kam
hain.

*-------------°°°-------------*


Haqeeqi dost wo hai jo aap ki taraf us
wqt aata hai jab sari dunia aap ko chor
chuki hoti hai.

*-------------°°°-------------*


Dost, kitab, raasta aur soch ghalt hun
tou gumrah kar dete hain.

*-------------°°°-------------*


Dost woh hai jo dosti ka
haq dost ki ghair mojoodgi
mein ada kere aur gheiron ki
mehfil mein is ki izzat
ki hifazat kere .

*-------------°°°-------------*

Best friendship quotes in Urdu
Best friendship quotes in Urdu


jab aap urooj par hotay hain to
aap ke doston ko pata chalta hai
ke aap kon hain aur jab aap
zawaal par hotay hain to aap ko pata
chalta hai ke dost kon hain

*-------------°°°-------------*

Dost bananay se pehlay kabhi kisi
ka chehra mat dekho, balkay is ke
ikhlaq aur chahat dekho kyun
ke agar safaid rang mein wafa
hoti to namak zakhamo ki dawa hoti .

*-------------°°°-------------*

dosti ka bharam sirf woh log
rakh satke hain jin ke wajood
mein samandar jitna dil ho

*-------------°°°-------------*

Mohabbat aur dosti do cheeze har
tufaan ka muqaabla kar sakti hain magar
aik cheez un dono ke tukre
tukre kar sakti hai aur woh hai
ghalat fehmi

*-------------°°°-------------*

woh dosti hi kya jo naraaz
nah ho par sachhi dosti dostoo
ko mana layte hai۔

*-------------°°°-------------*

dosti mein dooria to aati rehti
hain phir bhi dosti dilon ko mila
deti hai

*-------------°°°-------------*

dost ki ghalti rait par likho taa
ke pani usay mtade aur dost
ke ahsaan pathar par likho taa ke
koi usay mita nah sakay

*-------------°°°-------------*

Jo log dusron ko apne faide k liye
istemal karte hain woh khud bhi kahin
na kahin istemal ho jate hain.

*-------------°°°-------------*




Nateeja:

yeh urdu mein dosti ke quotes ke mazmoon ka ekhtataam hai. yeh Aqwal aap ke liye mukhtalif wasail se muntakhib kiye gaye hain. yeh sab naye hain aur aik gehra pegham dete hain. agar aap ke paas koi tajweez hai to aap neechay tbsron mein un ka ishtiraaq kar satke hain .